Skip to content

Aaj phir woh aayi..

  • Alok 
alok verma

Aaj phir woh aayi aur huske baat kar gayi
Bechaini ke silsille ki shuruaat kar gayi

Aaj phir woh aayi aur huske baat kar gayi

Bade garv se mujhko apna dost kehti hai
meri baatein sunn ke Muskuraati rahti hai
usse milke mujhko kya kuch khona padta hai
Nahi jaanti raat ko us din rona padta hai

yahi haadsa aaj bhi mere saath kar gayi
Aaj phir woh aayi aur huske baat kar gayi

Itni achchi hai ki usko bura mai kah nahi sakta
bechain huu, kyonki uske bina mai rah nahi sakta
hum zameen ke waasi sitaro ki chah karte hai
woh jagmagate rahte hai aur hum aah bharte hai

Mere kalpanao ke dunia ko barbaad kar gayi
Aaj phir woh aayi aur huske baat kar gayi….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *